Ab koi aas na umeed bachi ho jaise
Ab koi aas na umeed bachi ho jaise
Teri fariyad magar mujhme dabi ho jaise
Jaagte jaagte ik umrr
Kati ho jaise
Jaagte jaagte ik umrr
Kati ho jaise
Ab koi aas na umeed bachi ho jaise
Raste chalte hain magar
Paanv thame lagte hai
Hum bhi iss barf ke manzar mein
Jame lagte hain
Jaan baaki hai magar saans ruki ho jaise
Waqt ke paas latife bhi hai
Marham bhi hai
Kya karun main ke mere dil mein
Tera gham bhi hai
Meri har saans tere naam likhi ho jaisi
Koi fariyad tere dil mein dabi ho jaise
Kisko naraaz karun
Kis se khafa ho jaaun
Aks hai dono mere
Kis se juda ho jaaun
Mujhse kuch teri nazar puch rahi ho jaise
Raat kuch aise kati hai ke
Sehar hi na mili
Jism se jaan ke nikalne ki
Khabar hi na mili
Zindagi tezz bohat tezz chali ho jaise
Zindagi tezz bohat tezz chali ho jaise
Kaise bichhdu ke
Woh mujhme hi
Kahin rehta hai
Us se jab bachke guzarta hoon
Toh ye lagta hai
Woh nazar chup ke
Mujhe dekh rahi ho jaise
Hmm hmm…