Tere liye hum hain jiye
Honthon ko siye
Tere liye hum hain jiye
Har aansoo piye
Dil mein magar jalte rahe chahat ke diye
Tere liye, tere liye
Zindagi leke aayi hai beete din ki kitaab
Zindagi leke aayi hai beete din ki kitaab
Ghere hain ab humein yaadein be-hisaab
Bin puchhe mile mujhe kitne sare jawaab
Chaaha tha kya, paya hai kya, humne dekhiye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye, tere liye
Kya kahoon duniya ne kiya mujhse kaisa bair
Kya kahoon duniya ne kiya mujhse kaisa bair
Hukm tha main jiyun lekin tere baghair
Naadaan hain woh kehte hain jo mere liye tum ho ghair
Kitne sitam humpe sanam logon ne kiye
Kitne sitam humpe sanam logon ne kiye
Dil mein magar jalte rahe chaahat ke diye
Tere liye, tere liye
Tere liye, tere liye
Tere liye, tere liye...