Baatein teri karte hue
Thak ke so jaati hoon sirhaane aasmaan
Jaane kahaan mud jaati hain
Dekhte dekhte tujhe yeh galiyaan
Teri tarah khush-bu chale
Taare hamaari tarah raaton se mile
Suni nahi zamaane ne teri meri kahaaniyaan
Karde koyi nawaazishen karam mehrbaaniyaan
Yeh aarzu thi kih dekhe yeh dunya
Ham jaisa koyi deewaana hi nahi
Karde koyi nawaazishen karam mahrbaaniyaan
Raat andheri mein chhup rahe the
Gum ek sawera dhoond rahe the
Sadiyon se jaise jaag rahe the
Pyaar ko apne dhaanp rahe the
Phir gir pade
Koyi mila nah sahaara kya karen
Suni nahi zamaane ne teri meri kahaaniyaan
Tera woh pyaar yaad aayega
Bhoolega naa yeh dil mera
Kya ho gaya socha nah tha
Tera woh pyaar (x8)
Teri woh khaamoshiyaan
Kah deti theen woh sabhi
Jo tu nah keh saki
Kaise bataati tujhe
Sharmaati thi main jaise
Aanchal men jalta diya
Khoye kahaan mujh ko bata
Tera woh pyaar yaad aayega
Bhoolega nah yeh dil mera
Tera woh pyaar yaad aayega
Bhoolega nah yeh dil mera
Kya ho gaya socha na tha