Sapne ye aadhe aadhe
Kuch tere, kuch mere
Chal pada hai apna kaarwaan
Khwabon ki chaadar bunn ke
Soyi hai nahi ye palkein
Zindagi leti angdaaiyan
Oho.. choti choti baaton se
Kacche pakke dhaagon se
Milke banaayein apna jahaan
Oho... timtimaati shaamon se
Gudgudaati baaton se
Roshan apni mehfil apni duniya...
Khushiyon ka hai ye ghar tera mera
Raaton ka ye jugnu hai sitaara
Apni zameen hai aasmaan tera mera
Jode har lamhaa
Zarra zarra kare bayaan
Apni ye daastaan
Baawron ka safarnama
Dekho pukaarti humko nayi sehar yunhi
Choti choti baaton se
Kacche pakke dhaagon se
Milke banaayein apna jahaan
Timtimaati shaamon se
Gudgudaati baaton se
Roshan apni mehfil apni duniya...
Ho.. wo...
Khushiyon ka hai ye ghar tera mera
Raaton ka ye jugnu hai sitaara
Yaadon ki hai yeh kashti hi kinaara
Khushiyon ka hai ye ghar tera mera
Raaton ka ye jugnu hai sitaara
Apni zameen hai aasmaan tera mera