O…
Na wo akhiyan ruhani kahin
Na wo chehra noorani kahin
Kahin dil wali baatein bhi na
Na wo sajri jawani kahin
Jag ghoomeya thaare jaisa na koi (x2)
Na toh hansna rumaani kahin
Na toh khushboo suhani kahin
Na woh rangli adayein dekhin
Na woh pyari si nadani kahin
Jaisi tu hai waisi rehna
Jag ghumeya thaare jaisa na koi (x4)
Baarishon ke mausamon ki bheegi hariyali tu
Sardiyon mein gaalon pe jo aati hai wo lali tu
Raaton ka sukoon..
Raaton ka sukoon bhi hai
Subah ki azaan hai
Chaahaton ki chaadaron mein maine hai sambhali tu
Kahin agg jaisi jalti hai
Bane barkha ka pani kahin
Kabhi mann jaana chupke se
Yun hi apni chalani kahin
Jaisi tu hai waisi rehna
Jag ghoomeya thaare jaisa na koi (x2)
Apne naseebon mein yaa
Hausle ki baaton mein
Sukhon aur dukhon wali
Saari saugaton mein
Sang tujhe rakhna hai..
Sang tujhe rakhna hai, tune sang rehna
Meri duniya mein bhi
Mere jazbaaton mein
Teri milti nishani kahin
Jo hai sabko dikhani kahin
Tu toh jaanti hai marke bhi
Mujhe aati hai nibhani kahin
Woh hi karna jo hai kehna
Jag ghoomeya thaare jaisa na koi (x4)